na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi ki meri zindagi kya hai yahi tughyan-e-mushtaqi mujhe fitrat nawa par pai-ba-pai majbur karti hai abhi mahfil mein hai shayad koi dard-ashna baqi wo aatish aaj bhi tera nasheman phunk sakti hai talab sadiq na ho teri to phir kya shikwa-e-saqi na kar afrang ka andaza us ki tabnaki se ki bijli ke charaghon se hai is jauhar ki barraqi dilon mein walwale aafaq-giri ke nahin uthte nigahon mein agar paida na ho andaz-e-afaqi khizan mein bhi kab aa sakta tha main sayyaad ki zad mein meri ghammaz thi shakh-e-nasheman ki kam auraqi ulat jaengi tadbiren badal jaengi taqdiren haqiqat hai nahin mere takhayyul ki hai khallaqi