itne to ham-khayal dil-e-mubtala hain hum kal jis se khush the aaj isi se khafa hain hum tujh se juda nahin hain jo tujh se juda hain hum tere hi hain agarche tere naqsh-e-pa hain hum kahte hain hum ko nek bhi bad bhi hazar-ha is ki khabar nahin hai ki dar-asl kya hain hum rutba badha diya hai junun-e-firaq ne hum se juda hain aap to sab se juda hain hum tasir-e-ashk-o-ah ne badla nahin mizaj muddat hui ki shaki-e-ab-o-hawa hain hum lakhon jafaen sah ke ab aaya hai ye khayal milte hi kyun hain us se jo be-muddaa hain hum wo yas ban gai jo zamane ki aas thi aazurda aaj apne se be-intiha hain hum jamta hai apne zikr se ab mahfilon ka rang rahte hain apne ghar mein magar ja-ba-ja hain hum kya kya inayaten hain bas ai charkh-e-pir bas tera tasadduq ab bhi kisi se juda hain hum ab ittifaq-e-ahl-e-wafa tum ko kya dikhaen mahshar mein dekhna ki ye sab ek ja hain manzur imtihan-e-dil-e-ishq-baz hai ab apne waste bhi to sabr-azma hain hum is par mite hue hain mitata hai jo safi' dushman ki ga rahe hain bade khush-nawa hain hum