na damanon mein yahan khak-e-rahguzar bandho misal nikhat-e-gul mahmil-e-safar bandho is aaine mein koi aks yun na ubhrega nazar se silsila-e-danish-e-nazar bandho jo sahiban-e-basirat the be-libas hue fazilaton ki ye dastar kis ke sar bandho safir-e-jaan hun hisar-e-badan mein kya thahrun chaman-parasto na khushbu ke baal-o-par bandho na tut jae ki nazuk hai rishta-e-anfas tanab-e-khema-e-hasti sambhaal kar bandho kahan har ek shanawar guhar ba-kaf nikla samundaron se tawaqqo na is qadar bandho har ek hath mein hai sang sad-hazar-ashob phir aise waqt mein shakhon se kyun samar bandho namak chhidakte raho ye bhi hai masihai ye kya zaruri ki marham hi zakhm par bandho phire hai kab se pareshan ye zakhm-khurda hiran junun ko dasht se le ja ke apne ghar bandho gaya wo daur ki jab barf barf the alfaz girah mein ab ye dahakte hue sharar bandho adab nahin hai rayazi ka masala yaro har ek shakhs pe kyun tohmat-e-hunar bandho ye sinf aabru-e-fann-e-shairi hai 'faza' ghazal kaho to mazamin mo'atabar bandho