itni aasani se mujhko nahin pane wale

itni aasani se mujh ko nahin pane wale
kho bhi sakte hain meri khoj lagane wale

hum jo aae to khuli phulon ki dukan yahan
pahle ye log the bas khane-kamane wale

meri duniya mein agar rang nahin bhar sakta
mat bana phir meri taswir banane wale

main ki sahra-e-junun hun meri wus'at samjho
ho gae khak meri khak udane wale

in dinon hum bhi hain naraaz zamane se bahut
aur hum se bhi hain naraaz zamane wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close