ek qadam sahra ki jaanib ek qadam ghar ki taraf

ek qadam sahra ki jaanib ek qadam ghar ki taraf
aankh rukti hi nahin hai ek manzar ki taraf

teri aankhon par hazaron she'r jis ne kah diye
ek zara chashm-e-‘inayat us sukhanwar ki taraf

be-khayali mein kahan teri gali mein aa gaya
main zaruri kaam se nikla tha daftar ki taraf

jaane kitne dasht-o-sahra ho gae mujh se khafa
main zara si der kya aaya samundar ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close