itni jaldi to tere fan mein nahin aa sakte hijr ke khel ladakpan mein nahin aa sakte koi daman ho salamat to chalo ro bhi lun mere aansu kisi katran mein nahin aa sakte hum se pagal ko samajh pana tere bas ka nahin hum wo dariya hain jo bartan mein nahin aa sakte hum hain zanjiron ki khan khan ke bigade hue log teri pazeb ki chhan-chhan mein nahin aa sakte ye mere gham to kisi aur pe jachne se rahe ye wo kapde hain jo fashion mein nahin aa sakte