hamare dasht se pahle yahi thikane the sharab-khane the ya phir kitab-khane the wo hijr-zade shab-e-wasl ye bhi bhul gae charagh un ko jalane nahin bujhane the kisi bhi darja riayat nahin hai wahshat mein bichhad ke us se tumhein qahqahe lagane the ajib baat hai un ke bhi nam bhul gae tumhaare shahr mein do chaar hi diwane the hum is liye bhi kabhi ja na pae sahra se nae diwanon ke bhi hausle badhane the