itni khushbu to mulaqat mein rahne dije apni pahchan meri zat mein rahne dije shahr mein aur nae zakhm na ugne paen shahzadon ko hawalat mein rahne dije sar chala jae ye dastar na jaane pae itna tewar to riwayat mein rahne dije kal ki tuti hui diwar ke kaam aaengi jitni inten hain hisabaat mein rahne dije kab ye kahta hun ki main koi wali-zada hun khaksari hi karamat mein rahne dije aap ke shahr mein suraj to nikalne se raha ek mashal hi mere hat mein rahne dije aag aur phul ki pahchan nahin jis ko 'riyaz' aise insan ko khatraat mein rahne dije