phul ko aag duaon ko saza bhi kah dun aap ki zid hai to achchhon ko bura bhi kah dun kam se kam itna saliqa to mila sajdon se koi mear pe utre to khuda bhi kah dun in zabanon ki to aawaz hi ghut jati hai dil agar bol raha ho to sada bhi kah dun yun to ek umr guzari hai namak-danon mein phul zakhmon se jo barsen to shifa bhi kah dun aasman saf nazar aata hai ghar ki chhat se aise manzar ko na kyon arz-o-sama bhi kah dun sabhi bazar mein lathi pe khade milte hain koi chhota to mile jis ko bada bhi kah dun aaj-kal shahr mein ye aam kahawat hai 'riyaz' jis ko iman kahun us ko khata bhi kah dun