itni mushkil mein bhi ahbab na dalen mujh ko ki sambhalna bhi na chahun to sambhaalen mujh ko gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan ek hue dar raha hun ye kahin mar na dalen mujh ko munfarid meri tabiat hai ye haalat kahin rawish-e-am ke sanche mein na dhaalen mujh ko main to is par bhi hun raazi ki tere shahr ke log mere bante nahin apna hi bana len mujh ko aap mujh se kisi tabir ki phir baat karen pahle is khwab-e-tamanna se jaga len mujh ko nahin malum ki kal tak main rahun ya na rahun mehrban aaj hi ji-bhar ke sata len mujh ko gardishon ke liye ab tak na ye mumkin na hua kisi surat mere mehwar se hata len mujh ko in bulandi ke makinon ko mayassar hi nahin 'lais' wo hath jo pasti se utha len mujh ko