mujhse hi mujhko ab to milata nahin koi

mujh se hi mujh ko ab to milata nahin koi
ek aaina bhi mujh ko dikhata nahin koi

kya jaane kya hue wo sharafat pasand log
ab khairiyat bhi un ki batata nahin koi

is khauf mein ki khud na bhatak jaen rah mein
bhatke huon ko rah dikhata nahin koi

sachchaiyon ke raste sunsan ho gae
bhule se bhi yahan nazar aata nahin koi

hassas hain jo aap to chehre padha karen
zakhmon ko apne aap dikhata nahin koi

nakaamiyon ki sej pe baitha hun is liye
'taban' yahan se mujh ko uthata nahin koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close