itni shiddat se gale mujh ko lagaya hua hai aisa lagta hai ki waqt aakhiri aaya hua hai kyun na is baat pe ho jaen ye aankhen pagal nind bhi utri hui khwab bhi aaya hua hai ab ke holi pe laga rang utarta hi nahin kis ne is bar hamein rang lagaya hua hai sochta hun ki use khud ko main inam karun ek ladki ne tera bhes banaya hua hai aankh mein beti ke aaya tha magar dekho 'ziya' ek aansu ne hamein kitna rulaya hua hai