jaan ka dushman hai magar jaan se pyara bhi hai aisa is ahd mein ek shakhs hamara bhi hai jagti aankhon ne dekhe hain tere khwab ai jaan aur nindon mein tera nam pukara bhi hai wo bura waqt ki jab sath na ho saya bhi hum ne hans hans ke kai bar guzara bhi hai jis ne manjdhaar mein chhoda use malum nahin dubne wale ko tinke ka sahaara bhi hai mat luta dena zamane pe hi sari khairaat muntazir hath mein kashkol hamara bhi hai nam sun kar mera us lab pe tabassum hai 'ziya' aur palkon pe utar aaya sitara bhi hai