iza-dahi ki dad jo pata raha hun main har naz-afrin ko satata raha hun main ai khush-khiram panw ke chhaale to gin zara tujh ko kahan kahan na phiraata raha hun main ek husn-e-be-misal ki tamsil ke liye parchhaiyon pe rang giraata raha hun main kya mil gaya zamir-e-hunar bech kar mujhe itna ki sirf kaam chalata raha hun main ruhon ke parda-posh gunahon se be-khabar jismon ki nekiyan hi ginata raha hun main tujh ko khabar nahin ki tera karb dekh kar akasr tera mazaq udata raha hun main shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqin sab ko dilata raha hun main ek satr bhi kabhi na likhi main ne tere nam pagal tujhi ko yaad bhi aata raha hun main jis din se e'timad mein aaya tera shabab us din se tujh pe zulm hi dhata raha hun main apna misaliya mujhe ab tak na mil saka zarron ko aaftab banata raha hun main bedar kar ke tere badan ki khud-agahi tere badan ki umr ghatata raha hun main kal dopahar ajib si ek be-dili rahi bas tiliyan jala ke bujhata raha hun main