hasil se hath dho baiTh ai aarzu-KHirami

hasil se hath dho baith ai aarzu-khirami
dil josh-e-girya mein hai dubi hui asami

us shama ki tarah se jis ko koi bujha de
main bhi jale-huon mein hun dagh-e-na-tamami

karte ho shikwa kis ka tum aur bewafai
sar pitte hain apna hum aur nek-nami

sad-rang-e-gul katarna dar-parda qatl karna
tegh-e-ada nahin hai paband-e-be-niyami

tarf-e-sukhan nahin hai mujh se khuda-na-karda
hai nama-bar ko us se dawa-e-ham-kalami

taqat fasana-e-baad andesha shoala-ijad
ai gham hunuz aatish ai dil hunuz khami

har chand umr guzri aazurdagi mein lekin
hai sharh-e-shauq ko bhi jun shikwa na-tamami

hai yas mein 'asad' ko saqi se bhi faraghat
dariya se khushk guzre maston ki tishna-kaami


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close