iztirab-e-dil-e-bimar se dar lagta hai nabz ki surat-e-raftar se dar lagta hai husn ke ishwa-e-tarrar se dar lagta hai laghzish-e-fitrat-e-khuddar se dar lagta hai manzil-e-hashr bahut dur sahi par ab bhi pursish-e-bakht-e-siyahkar se dar lagta hai ek alamnak fasana hai junun-e-ulfat jis ki tafsir ke izhaar se dar lagta hai jada-e-hosh se hat jaen na mai-kash ke qadam jam ki garmi-e-raftar se dar lagta hai ya to namus-e-mohabbat pe tha marna bar-haq ya to zikr-e-rasan-o-dar se dar lagta hai rukh badal de na mohabbat ka ye aashufta-sari e'tibar-e-nigah-e-yar se dar lagta hai ye aqidat hi kahin darpai-e-azar na ho sharf-e-pa-bosi-e-aghyar se dar lagta hai tod dalen na kahin aap mera shisha-e-dil aap ki shumi-e-guftar se dar lagta hai gham-o-alam se is darja sarasima hun ki mujhe aks-e-rukh-e-yar se dar lagta hai bhul jaun na kahin apni hi hasti ka maqam aap ki chashm-e-fusun-bar se dar lagta hai bad-gumani hui is darja dakhil-e-fitrat un ko ab saya-e-diwar se dar lagta hai phir barangekhta ho jaen na jazbaat-e-nihan shoala-samani-e-rukhsar se dar lagta hai bahami rabt mein ban jae na hadd-e-fasil ikhtilafat ki diwar se dar lagta hai kuchh to badle hue haalat se wahshat hai 'azim' kuchh to bigde hue aasar se dar lagta hai