mizaj-e-dost mein kuchh barhami nazar aai mere khulus mein shayad kami nazar aai tumhaare aane se sara chaman mahak uttha kali kali pe tar-o-tazgi nazar aai ye inqilab-e-zamana hai ya fusun-e-nazar hansi bhi aap ki mahbub si nazar aai yahi to dard-e-judai ka faiz hai mujh par sisakti sans ukhadti hui nazar aai ye zakhm-e-ishq ka ehsan hai rah-e-ulfat mein udas dil mein bhi ek raushni nazar aai hai pur-fareb ye tarz-e-amal hasinon ka zara si chhed pe waraftagi nazar aai hujum-e-mah-washan mein 'azim' rah ke mujhe qadam qadam pe badi bebasi nazar aai