izzat unhen mili wahi aakhir bade rahe jo khak ho ke aap ke dar par pade rahe ai dost mughtanim hain wo muradan-e-ba-waqar usrat mein bhi jo aan pe apni ade rahe payab ho ke sail ne un ke qadam liye manjdhaar mein jo panw jamae khade rahe padti nahin har ek pe us ki nigah-e-naz saqi ke aastan pe hazaron pade rahe apnon ki talkh-goi ki lazzat na puchhiye bhaale se umr bhar rag-e-jaan mein gade rahe manind-e-sang-e-mil dikhai har ek ko rah lekin khud apne panw zamin mein gade rahe zalim se ek bose pe barson rahi hai zid aakhir tak apni baat pe hum bhi ade rahe shayad ki multafit ho koi shahsawar-e-naz kis aarzu se hum sar-e-manzil khade rahe fitne bahut hain but-kada o khanqah mein achchhe rahe jo dasht-e-junun mein pade rahe 'wasif' ka intizar tha sahra mein baad-e-qais kante bhi muddaton yunhi pyase pade rahe