ab jo lauTe ho itne salon mein

ab jo laute ho itne salon mein
dhup utri hui hai baalon mein

tum meri aankh ke samundar mein
tum meri ruh ke ujalon mein

phul hi phul khil uthe mujh mein
kaun aaya mere khayalon mein

main ne ji-bhar ke tujh ko dekh liya
tujh ko uljha ke kuchh sawalon mein

meri khushiyon ki kaenat bhi tu
tu hi dukh-dard ke hawalon mein

jab tera doston mein zikr aae
tis uthti hai dil ke chhaalon mein

tum se aabaad hai ye tanhai
tum hi raushan ho ghar ke jalon mein

sanwli sham ki tarah hai wo
wo na goron mein hai na kalon mein

kya use yaad aa raha hun 'wasi'
rang ubhre hain us ke galon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close