ja-ba-ja shor machati hai meri wahshat hi pa-ba-jaulan mujhe rakhti hai meri wahshat hi baadiya-sabz rahe ya ki hawa-e-sarsar is kharabe mein to rahti hai meri wahshat hi har-nafas khama to hai sai-e-raqam mein masruf sar ko aashufta na rakhti hai meri wahshat hi ghar pe rahte hue bhi ghar mein kahan rahta hun koi aata hai to milti hai meri wahshat hi lakh ye qarya-e-shab naghma-sara ho phir bhi har taraf gunjti rahti hai meri wahshat hi kal sar-e-arz-e-dilan baad-e-aman chalti thi ab idhar khak udati hai meri wahshat hi