ja ke pachhtaenge na ja ke bhi pachhtaiyega aap jate hain wahan achchha chale jaiyega main kai din hue khud se hi jhagad baitha hun aap fursat se kisi din mujhe samjhaiyega main khayalon mein bhatak jata hun baithe baithe bhej aahat ka sandesa mujhe bulwaiyega main ne zulmat mein guzare hain kai qarn so aap raushni se jo main dar jaun na ghabraiyega main samajhta hun mujhe log samajhte hi nahin main kisi roz na samjhun to samajh jaiyega gah ho jata hun main apni ana ka qaidi main na aaun to phir aa kar mujhe chhudwaega khair-maqdam ko hai tayyar jahan jaiye aap han palatna ho to phir mere hi ho jaiyega mujh se zid hai to phir us zid ko nibhane ke liye main jo mar jaun to phir aap bhi mar jaiyega jam-e-jam fikr ka rakhta hai nirale manzar aap jo dekhte hain duniya ko dikhlaiyega soch jab yaksan na ho qafila kis kaam ka hai aap 'ahmad' kahin raste mein hi rah jaiyega