dhajji dhajji jubba-o-dastar hote dekhna 'mir' ko be-ashiqi bhi khwar hote dekhna kasrat-e-danishwaran ko qaht-e-danish jaanna wusaton ko dasht ki diwar hote dekhna rukne wali hai fishaar-e-dam se nabz-e-inhiraf khud ko ab sar-ta-ba-pa inkar hote dekhna pir-e-sad-sala se sunna qissa-e-asudgi lamha lamha zist ko dushwar hote dekhna dekhna lafzon ko mani se mafar karte hue chup ke aalam mein mera izhaar hote dekhna thin jo kal tak shab-guzari ka wasila hijr mein ab unhin yaadon ko tum aazar hote dekhna qasr-e-kohna hum ki kuchh mahsus tak karte nahin sirf apne aap ko mismar hote dekhna