ja ke suraj se mila din mein bhi ghar se nikla baad muddat main charaghon ke asar se nikla ab to mil jati hain har mod pe aankhen achchhi teri aankhon ka wo kanta bhi nazar se nikla kitni kam-go thi meri jaan-e-sukhan wo khushbu baat karne ka bahana bhi agar se nikla jaane kis kis ko diye mere hazaron dil the ye khazana mere sine ke khandar se nikla mujh ko to gardish-e-dauran ne diya hai lahja mera matlab to isi zer-o-zabar se nikla wo bhi mahfil mein chali aai hai pichhe pichhe main to ghar se isi tanhai ke dar se nikla jis ki chhanw mein sukun paen sukhan ke panchhi ped wo meri hi mehnat ke samar se nikla mujh ko le dubi farawani ye sim-o-zar ki sara mehnat ka maza luqma-e-tar se nikla ho-na-ho is mein koi raaz chhupa hai 'akhtar' kaam aksar to khuda ka bhi bashar se nikla