hum ne to bain mein nauhe mein sadakari ki aaj dafna di hai mayyat bhi rawa-dari ki hum se bad-tar koi fankar jahan mein hoga hum ada-kariyan karte hain adakari ki hum ne ghairat ka baghawat ka alapa dipak tan unchi hai magar aaj bhi darbari ki hum ko sae se bhi shahon ke bacha kar rakhna hum pe aa jae na tohmat bhi taraf-dari ki wo na manenge ki ye ain khata hai un ki wo jo yari ko bhi kahte hain ki ayyari ki hum to anjaan the is ghar mein hamara kya tha tum to timsal the duniya mein samajhdari ki jin se uthti thin siyah aag ki lapten har dam hum ne aisi bhi zaminon mein shajar-kari ki tum ko sote mein bhi kab aankh utha kar dekha hum ne khwabon mein bhi aaankhon ki nigah-dari ki