ja ladi yar se hamari aankh dekho kar baithi faujdari aankh shokhiyan bhul jae aahu-e-chin dekh pae agar tumhaari aankh lakh inkar mai-kashi se karo kahin chhupti bhi hai khumari aankh howega ranj ya khushi hogi kyun phadakne lagi hamari aankh jaanib-e-dar nigah-e-hasrat hai kis ki karti hai intizari aankh kar ke iqrar ho gaya munkir samne aa ke kis ne mari aankh murgh-e-dil par nigah hai un ki aisi dekhi nahin shikari aankh hai sitam nok-jhonk chitwan mein lad rahi hai chhuri katari aankh dil jigar donon ho gae majruh ban gai hai chhuri katari aankh koi dam mein ubhaarte hain use us ne dekha ki hum ne mari aankh 'agha' sahab tumhaare dilbar ki kya rasili hai kya hai pyari aankh