logo hum chhan chuke ja ke samundar sare us ne mutthi mein chhupa rakkhe hain gauhar sare zakhm-e-dil jag uthe phir wahi din yar aae phir tasawwur pe ubhar aae wo manzar sare tishnagi meri ajab ret ka manzar nikli mere honton pe hue khushk samundar sare us ko ghamgin jo paya to main kuchh kah na saka bujh gae mere dahakte hue tewar sare aagahi karb wafa sabr tamanna ehsas mere hi sine mein utre hain ye khanjar sare dosto tum ne jo phenke the mere aangan mein lag gae ghar ki fasilon mein wo patthar sare khun-e-dil aur nahin rang-e-hina aur nahin ek hi rang mein hain shahr ke manzar sare qatl-gah mein ye charaghan hai mere dam se 'bashir' mujh ko dekha to chamakne lage khanjar sare