jaan aankhon mein rahi ji se guzarne na diya achchhi didar ki hasrat thi ki marne na diya kya qayamat hai sitamgar bhari mahfil mein dil chura kar teri duzdida nazar ne na diya muddaton kashmakash-e-yas-o-tamanna mein rahe gham ne jine na diya shauq ne marne na diya nakhuda ne mujhe daldal mein phansae rakkha dub marne na diya par utarne na diya koi to baat hai jo ghair ke aage us ne shikwa kaisa ki mujhe shukr bhi karne na diya khak aaram ki khwahish ho watan se bahar jab hamein chain 'tapish' apne hi ghar ne na diya