baad-e-sarsar bhi qurbat ki chalti rahe din nikalta rahe sham dhalti rahe zulf hathon se tere sanwarti rahe din nikalta rahe sham dhalti rahe teri chahat gulabon ki khushbu bane mere diwar-o-dar mein kuchh aisi base teri mahkar kamre se aati rahe din nikalta rahe sham dhalti rahe tere ehsas ki tan pe chadar liye tere hamrah raqsan mein aise rahun pyar ki mujh pe badli barasti rahe din nikalta rahe sham dhalti rahe ruh se ruh ka rabt aisa bane jaise hathon mein tere mera hath ho phir mulaqat khwabon mein hoti rahe din nikalta rahe sham dhalti rahe meri ghazlon mein tera hi mazmun ho meri nazmon mein to mujh se baaten kare yun bayaz-e-tamanna bhi bharti rahe din nikalta rahe sham dhalti rahe pyar ke sat rangon ki qaus-e-quzah le ke aae 'sabila' wo milne kabhi zindagi phir wahin ruk ke hansti rahe din nikalta rahe sham dhalti rahe