jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil figar bhi tar hai mizha bhi ashk se jeb bhi aur kanar bhi turfa fusun-sarisht hai chashm-e-karishma-sanj-e-yar leti hai ek nigah mein sabr bhi aur qarar bhi kuche mein us ke baithna husn ko us ke dekhna hum to isi ko samjhe hain bagh bhi aur bahaar bhi dekhiye kya ho be-tarah dil ki lage hain ghat mein ghamza-e-pur-fareb bhi ishwa-e-sehr-kar bhi zulf ko bhi hai dam-ba-dam azm-e-kamand-e-afgani dam liye hai mustaid turra-e-tabdar bhi baithe buton ki bazm mein jin ki hai qadr jab wo log apne fareb-o-fan se wan tha ye kharab-o-khwar bhi ginne lage wo apne jab chahne walon ko 'nazir' uth ke yakayak us ghadi hum ne kaha hain yar bhi