shahar parbat bahr-o-bar ko chhodta jata hun main ek tamasha ho raha hai dekhta jata hun main hosh udta ja raha hai garmi-e-raftar mein dekhta jata hun main aur bhulta jata hun main abr hai aflak par aur ek sarasima qamar ek dasht-e-raegan mein daudta jata hun main hun makan mein band jaise imtihan mein aadmi sakhti-e-diwar-o-dar hai jhelta jata hun main nam hai mere sher se us chashm-e-sang-alud mein khwab hun us chashm-e-tar mein phailta jata hun main shauq hain kuchh jin ke pichhe chal raha hun main 'munir' ranj hain kuchh dil mein mere khinchta jata hun main