jaan de denge karishmon pe qaza se pahle

jaan de denge karishmon pe qaza se pahle
mar hi jaenge tere naz-o-ada se pahle

riste hain zakhm-e-jigar qabl-e-namak-afshani
meinh barasta hai mere ghar mein ghata se pahle

bosa khud dete hain aur khud hi bigad jate hain
lutf farmate hain aashiq pe jafa se pahle

khud-ba-khud aate hain wo pas ye tasiron ka
ja laga tir nishana pe dua se pahle

qasd-e-bosa hi pe dil phanste hain gesu mein
phansi dete hain wo mujrim ko khata se pahle

wo sanam aur ke hisse mein na aata ai 'aziz'
mang leta jo use ro ke khuda se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close