jigar thame hue yan talib-e-didar baithe hain maze wan lutne ko bazm mein aghyar baithe hain faqat itna kaha tha tum zara surat dikha jao ye sun kar aaj mujh se wo bahut bezar baithe hain mohabbat un se kya ki le liya koh-e-alam sar par mujhe badnam karne ko sar-e-bazar baithe hain zara maqtal mein tum aa kar nikalo apne khanjar ko yahan hum qatl hone ke liye tayyar baithe hain chala to hai 'aziz' un ki gali mein shauq se lekin qadam rakhna sanbhal kar wo bane ayyar baithe hain