jaan-e-afsana yahi kuchh bhi ho afsane ka nam zindagi hai dil ki dhadkan tez ho jaane ka nam qatra qatra zindagi ke zahr ka pina hai gham aur khushi hai do ghadi pi kar bahak jaane ka nam aaj tu kal koi aur hoga sadr-e-bazm-e-mai saqiya tujh se nahin hum se hai mai-khane ka nam intizar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nur aur bahaar-e-bagh leti hi nahin aane ka nam tab-e-nakaami nahin to aarzu karta hai kya saqiya tujh se nahin hum se hai mai-khane ka nam waqif-e-'mulla' na thi bazm-e-khirad ye tai hua ho na ho ye hai kisi mashhur diwane ka nam