jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare arman kiye dil hi mein fana arman ko ruswa kaun kare khali hai mera saghar to rahe saqi ko ishaara kaun kare khuddari-e-sail bhi to hai kuchh har bar taqaza kaun kare jab apna dil khud le dube auron pe sahaara kaun kare kashti pe bharosa jab na raha tinkon pe bharosa kaun kare aadab-e-mohabbat mein bhi ajab do dil milne ko raazi hain lekin ye takalluf hail hai pahla wo ishaara kaun kare dil teri jafa se tut chuka ab chashm-e-karam aai bhi to kya phir le ke isi tute dil ko ummid dobara kaun kare jab dil tha shagufta gul ki tarah tahni kanta si chubhti thi ab ek fasurda dil le kar gulshan ki tamanna kaun kare basne do nasheman ko apne phir hum bhi karenge sair-e-chaman jab tak ki nasheman ujda hai phulon ka nazara kaun kare ek dard hai apne dil mein bhi hum chup hain duniya na-waqif auron ki tarah dohra dohra kar us ko fasana kaun kare kashti maujon mein dali hai marna hai yahin jina hai yahin ab tufanon se ghabra kar sahil ka irada kaun kare 'mulla' ka gala tak baith gaya bahri duniya ne kuchh na suna jab sunne wala ho aisa rah rah ke pukara kaun kare