jaan-e-husn aur kaenat-e-rang-o-bu kya chiz hai teri qurbat kah gai ai yar tu kya chiz hai wasl ki be-intiha sarmastiyon se puchh lo ki surur-ara husul-e-justuju kya chiz hai jaan jaoge tumhaara bhi kabhi tuta jo dil ki gham-o-dard-e-shikast-e-arzu kya chiz hai jitni dilbar ki mere shakl-o-shamail hai hasin itni dilkash aur itni khub-ru kya chiz hai kaif se labrez us ki chashm-gin ke samne saqiya tera ye mai-parwar subu kya chiz hai chand hai suraj hai phul-o-khushbu hai ya hai dhanak bolo meri jaanan jaisi hu-ba-hu kya chiz hai mujh se mat puchho kisi se dil laga kar dosto jaan lo aawargi-e-ku-ba-ku kya chiz hai main khamoshi ko hi behtar jaanta tha ai 'zaki' un se baaten karke samjha guftugu kya chiz hai