jaan-e-jaan meri ye jaan ka masala hai sirf teri ek han ka masala hai kuchh to mera bhi nishana hai nahin thik aur kuchh tir-o-kaman ka masala hai ye zamin-o-asman pakke adu hain khalq un ke darmiyan ka masala hai jo teri baen hatheli par dikha tha ye ladai us nishan ka masala hai ye firaq aashuftagi girya ye wahshat ek qalb-e-na-tawan ka masala hai main bhi lag-bhag tujh se bahar aa chuka hun khair tu bhi ab fulan ka masala hai