jaan ek but pe fida karte ho kya karte ho phir bhi ummid-e-wafa karte ho kya karte ho hum se paiman-e-wafa karte ho kya karte ho tark dastur-e-wafa karte ho kya karte ho wada karte ho wafa karte ho kya karte ho jurm-e-qanun-e-jafa karte ho kya karte ho kar ke kaunain ko zanjiri-e-gesu-e-daraaz zulf-e-pechan ko duta karte ho kya karte ho khak mein hum ko milaya to bahut khub kiya ab pasheman hua karte ho kya karte ho hum ko khud kar ke giraftar-e-bala hazrat-e-dil ab ye kahte ho bura karte ho kya karte ho ghar jo zindan hai to virana bana deta tha dar-o-diwar taka karte ho kya karte ho khun-e-dil ashkon se bola ye umand kar kal raat aap hi aap baha karte ho kya karte ho pairahan jo ki gareban hi raha aur na jeb is ko baithe jo siya karte ho kya karte ho