koi guman hun koi yaqin hun ki main nahin hun

koi guman hun koi yaqin hun ki main nahin hun
main dhundhta hun ki main kahin hun ki main nahin hun

kahin sitare kahin hain jugnu kahin andhere
main aasman hun koi zamin hun ki main nahin hun

main ek dil hun kisi ke dil mein ki wahima hun
koi makan hun koi makin hun ki main nahin hun

dikhai deta tha ja-ba-ja dil ke hashiye mein
wahan nahin hun to dil-nashin hun ki main nahin hun

meri kamai the yar mere kahan gae hain
jo sochta hun ghalat nahin hun ki main nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close