jaan ise chalane mein ahrman ki khapti hai

jaan ise chalane mein ahrman ki khapti hai
raat-din magar duniya nam tera japti hai

raushni ke jalwe hain phalte phulte jangal
jin ki chhattr-chhaya mein tirgi panapti hai

gunj si yahan shab-bhar tum jo roz sunte ho
dasht ki panahon mein khamushi tadapti hai

kya kaha kaho to phir dhyan husn sirat ka
ai miyan meri mano chhap lo jo chhapti hai

na-gahan magar is mein phul kyun nahin khilte
reg-zar ki manind khak-e-dil bhi tapti hai

husn utar ke aata hai yun 'umang' aankhon mein
jhil jis tarah gahri raushni hadapti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close