jaan kar kahta hai hum se apne jaane ki khabar ji duba deti hai mera ye bahane ki khabar is chaman mein kaun hai dil-soz apna tujh siwa rakhiyo tuk ai barq mere aashiyane ki khabar puchhta nin apne kuche mein tu mera haal hae le thi laila dasht mein apne diwane ki khabar hain qafas mein jab se hum us sang-dil sayyaad ke ashk hi leta hai mera aab-o-dane ki khabar hum na jaanen kis taraf kaba hai aur kidhar hai dair ek rahti hai yahi us dar pe jaane ki khabar har gul-e-dagh-e-junun par aur hai kuchh aab-o-rang pher hai gulshan mein goya gul ke aane ki khabar aaj sine mein mere dil hai nipat hi be-qarar de hai 'hasrat' ghair ke ghar us ke jaane ki khabar