ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai gul bhi us ke gham mein dekho kiya gareban-chaak hai dagh-bar-dagh ashk-bar-ashk apni chashm o dil mein hain kya bala gul-khez ai yaro ye musht-e-khak hai ai khizar jaun kahan main kucha-e-mai-khana chhod khush-dili ka maulid o mansha ye khak-e-pak hai gharq-sar-ta-pa hun bahr-e-be-karan-e-khun mein main aashna puchhe hai to ye chashm kyun namnak hai sarw ki nisbat se us qadd-e-bala baala ko kya khushk chob-e-pa bigul ye wo qad-e-chaalak hai hae kin aankhon se dekhun us rukh-e-raushan pe khat chashma-e-khurshid mein ye kya khas-o-khashak hai kafir o momin ko riqqat gham mein hai 'hasrat' ke hae kuchh khuda ka dar bhi tujh ko ai but-e-bebak hai