jaan khud-shanas ho to dua mein asar bhi hai main jal raha hun tujh ko meri kuchh khabar bhi hai shahr-e-gulab mein bhi koi dhundhta raha wo dhup jis mein tere badan ka shajar bhi hai wo aks hun ki mujh mein tere khal-o-khad nahin tu mera aaina bhi hai aaina-gar bhi hai sochon to zar-nigar se chehre bhi sath hain dekhun to ye safar mera tanha safar bhi hai main bhi hun zakhm zakhm tere intizar mein ek sham rahguzar mera viran ghar bhi hai kya hai jo kam-nazar mujhe pahchante nahin chehra bhi hai mera mere shanon pe sar bhi hai khushbu ke pairahan se ujale ke jism tak main hun to phir saliqa-e-arz-e-hunar bhi hai