husn mail ba-sitam ho to ghazal hoti hai ishq ba-dida-e-nam ho to ghazal hoti hai phul barsaen ki wo hans ke giraen bijli koi bhi khas karam ho to ghazal hoti hai kabhi duniya ho kabhi tum kabhi taqdir khilaf roz ek taza sitam ho to ghazal hoti hai daman-e-zabt chhute chur ho ya shisha-e-dil hadsa koi aham ho to ghazal hoti hai shikan-e-gesu-e-dauran hi pe mauquf nahin un ki zulfon mein bhi kham ho to ghazal hoti hai chaaragar lakh karen koshish-e-darman lekin dard is par bhi na kam ho to ghazal hoti hai raaz-e-takhliq-e-ghazal hum ko hai malum 'nasim' jam ho mai ho sanam ho to ghazal hoti hai