jaan le le na zabt-e-ah kahin ro liya kije gah gah kahin ibtidai jo ek khadsha tha khul na jae usi pe rah kahin hone wali hai ye faza rangin abr hone lage siyah kahin ye suhulat hai zindagi ko bahut rabt hota rahe nibah kahin aur kuchh der gham nazar mein rakh kya khabar mil hi jae thah kahin haif sar se guzar gaya pani dhone aae the hum gunah kahin