jaan nazr-e-shabab ho ke rahi zindagi kaamyab ho ke rahi meri jaanib jo uth gai thi kabhi wo nazar la-jawab ho ke rahi ishq mein rah-e-rast bhi aksar rah-e-pur-pech-o-tab ho ke rahi baad tauba ke aur bhi saqi meri haalat kharab ho ke rahi un ki mahfil mein be-kasi meri bais-e-inqalab ho ke rahi fasl-e-gul mein maze udaenge ye tamanna bhi khwab ho ke rahi dahr mein ai 'aziz' apni wafa aap apna jawab ho ke rahi