maal-e-gardish-e-lail-o-nahaar kuchh bhi nahin hazar naqsh hain aur aashkar kuchh bhi nahin har ek mod pe duniya ko hum ne dekh liya siwae kashmakash-e-rozgar kuchh bhi nahin nishan-e-rah mile bhi yahan to kaise mile siwae khak-e-sar-e-rahguzar kuchh bhi nahin bahut qarib rahi hai ye zindagi hum se bahut aziz sahi e'tibar kuchh bhi nahin na ban pada ki gareban ke chaak si lete shuur ho ki junun ikhtiyar kuchh bhi nahin khile jo phul wo dast-e-khizan ne chhin liye nasib-e-daman-e-fasl-e-bahaar kuchh bhi nahin zamana ishq ke maron ko mat kya dega dilon ke khel mein ye jit haar kuchh bhi nahin ye mera shahr hai main kaise man lun 'akhtar' na rasm-o-rah na wo ku-e-yar kuchh bhi nahin