jaan niklegi meri jaan baDi mushkil se

jaan niklegi meri jaan badi mushkil se
hogi mushkil meri aasan badi mushkil se

wo mere ghar rahe mehman badi mushkil se
raat nikle mere arman badi mushkil se

aankhen talwon se malin le ke qadam aankhon par
rah par aae nigahban badi mushkil se

tha bahut un ko gilauri ka uthana mushkil
dast-e-nazuk se diya pan badi mushkil se

badh ke darban ne liya aaj bhi daman mera
kal chhudaya tha gareban badi mushkil se

sohbat-e-bad se bachane ka bataya sab haal
aaj mane mere ehsan badi mushkil se

zulm ko lutf se tabir karenge dam-e-hashr
jaur se honge pasheman badi mushkil se

koi kafir ho jo kal jae su-e-dair-e-butan
ki bacha aaj hi iman badi mushkil se

na rahe main ne kaleje mein jo rakhna chaha
dil mein thahre tere paikan badi mushkil se

dur abhi manzil-e-maqsud hai kale koson
kuchh hue qata bayaban badi mushkil se

man lete hain wo mushkil se bhi mushkil koi baat
kabhi aasan se bhi aasan badi mushkil se

mai bahut ruk ke mere halq se utre dam-e-naza
abhi mushkil hui aasan badi mushkil se

be-shab-e-wasl ye andaz nikalte hi nahin
zulf hoti hai pareshan badi mushkil se

dhaar talwar ki thi jada-e-barik na tha
hai hua hashr ka maidan badi mushkil se

rahte hain aise hi insan farishte ban kar
aadmi bante hain insan badi mushkil se

dil-e-bismil mein kuchh is tarah hue the paiwast
tut kar nikle hain paikan badi mushkil se

yahi andaz yahi waza jo rakkhoge 'riyaz'
log samjhenge musalman badi mushkil se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close