safir-e-fan the so taswir kar diye gae hum phir ek khwab se tabir kar diye gae hum hum ek khayal the firdaus-e-ham-e-khayalan ka so ek kharabe mein tamir kar diye gae hum sawaliyan-e-siyah-bakht ki tarah tah-e-tegh ba-nam-e-adl jahangir kar diye gae hum shahid kar ke bhi mausam ne kab rihai di shajar ki shakh mein zanjir kar diye gae hum hum is se pahle bhi ek dastan the aur ab to salib-o-dar pe tahrir kar diye gae hum khadang-e-zulm wo barse ki khud bhi aakhir-e-kar nigah-e-zulm mein shamshir kar diye gae hum ye ramz-e-nukta-wari hai ki taur-e-hila-gari rahin-e-zillat-e-taqdir kar diye gae hum mite hum apni zamin par to kya maqam mila yahi ki dafn ba-tauqir kar diye gae hum