jaan us ki adaon par nikalti hi rahegi ye chhed jo chalti hai so chalti hi rahegi zalim ki to aadat hai satata hi rahega apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi dil rashk-e-adu se hai sipand-e-sar-e-atish ye shama teri bazm mein jalti hi rahegi ghamza tera dhoka yunhi deta hi rahega talwar tere kuche mein chalti hi rahegi ek aan mein wo kuchh hain to ek aan mein kuchh hain karwat meri taqdir badalti hi rahegi andaz mein shokhi mein shararat mein haya mein wan ek na ek baat nikalti hi rahegi 'wahshat' ko raha uns jo yun fann-e-sukhan se ye shakh-e-hunar phulti-phalti hi rahegi