hue hain gum jis ki justuju mein usi ki hum justuju karenge rakkha hai mahrum jis ne hum ko usi ki hum aarzu karenge gae wo din jab ki is chaman mein hawa-e-nashw-o-numa thi hum ko khizan ko dekha nahin hai hum ne ki khwahish-e-rang-o-bu karenge hikayat-e-arzu hai nazuk zaban kya khak kah sakegi lab-e-khamosh-o-nigah-e-hasrat se dil ki hum guftugu karenge jagah jo aankhon mein main ne di thi to un se thi chashm-e-raaz-dari ye kya khabar thi ki ashk mere mujhi ko be-abru karenge abhi to gum-karda-rah khud hain mai-e-mohabbat ki be-khudi mein agar kabhi aap mein hum aae to us ki bhi justuju karenge us anjuman mein ki chashm-e-saqi kafil ho aish-e-zindagi ki wo baada-khwari mein kham honge jo fikr-e-jam-o-subu karenge tahaarat-e-zahiri se hasil na ho sakegi safa-e-baatin baha ke hum khun-e-tauba 'wahshat' usi se ek din wuzu karenge